Search This Blog

Sunday, December 17, 2006

thahra hoon

Bas waqt ka dariya hai jo bahat jaata hai
Tera gham jahan thahra tha main wahin pe thahra hoon.

Neend aane ki koshish mein main jagta rahta hoon
Ek khwab se toota tha main ab bhi adhoora hoon

Aankhein gar aaeena hai to aaeena jhootha hai
Khushki ki kaalikh ko main raat mein dhota hoon

Ek aag jo dil ki thi who aag ab dil mein hai
Khoon dhuan sa bahta hai main jalta kohra hoon

Tum dhoondhoge mujhko aur mil nahin paaoge
Main chaand ke peechhe ki basti ka andhera hoon.

3 comments:

  1. har ek line is poem ki ruh ko zinda kar deti hai......
    yaad aati hai unki saanso ki tarah..
    saanse thum jati hai hamari,unki yaadon ki tarah ..........

    hats off!!

    ReplyDelete
  2. "Tum dhoondhoge mujhko aur mil nahin paaoge
    Main chaand ke peechhe ki basti ka andhera hoon"

    iss sh'er ke li'e main kya kahoon, yeh apane aap mein har tarah se adhoora hote hu'e bhi poora hai...

    ReplyDelete