Search This Blog

Sunday, December 17, 2006

tere jaane ka waqt


tere jaane ka waqt
jab paas aata ja raha hai
to kuchh bhi nahin thaharta...

subah ka aata suraj
palak jhapakte hi
ja raha hota hai
jaise band mutthi se
ret giri ja rahi ho

bas ek main hoon
jo thahar sa gaya hoon
hairan sa
pareshan sa
tere jane ka waqt
jab paas aata ja raha hai...

1 comment:

  1. Likha to pehle bhi tha ki poem achi hai per aaj jo aapne likha hai main usse uzr rahi hun. aaj samajh aa raha hai ki kitni gehrai hai in lines me. har line apni si lagti hai, jaise koi mujhe byan kar raha ho...
    beautiful

    ReplyDelete