Search This Blog

Wednesday, December 27, 2006

Hijr

Jab bhi
Koi sher likha
Ya kabhi koi Nazm

dekha kabhi
koi Manzar
jo sukoon deta ho aankhon ko

suna kabhi
koi fikra
jis par hansi aati ho

Chhupa kar rakh liye
Yeh sab pal Maine
Zahan ke kisi kone mein

Socha
Jab milogi Kabhi
To
Tumko Sunaunga!

1 comment:

  1. suna kabhi
    koi fikra
    jis par hansi aati ho

    achha to hume comment karne se faida kya aap ko to hansi hi aayegi.
    but must say....it's a
    beautiful expression...

    Socha
    Jab milogi Kabhi
    To
    Tumko Sunaunga!
    achha to sher nazam saare unhiko sunayiega..aapke fans kya karenge phir?
    is kavita me ek gahri ummeed bahat khubsurti se express kiya gaya hai...

    ReplyDelete