Search This Blog

Saturday, December 16, 2006

Maa Bahut Yaad aati hai

So jata tha main
Maa mujhe khilati thi
Naraz jab bhi hua
Maa mujhe manati thi

Saham jata tha main
Maa god mein uthati thi
Zara sa door hua nazron se
Maa mujhko bulati thi

KAI BAAR AB MAIN BHOOKHA HI
SOTA HOON
NARAZ HUA KOI TO AKELA ROTA HOON
SAHMA HUA SA MAIN HAR WAQT RAHTA HOON
RAATON MEIN BHI GHAR SE DOOR RAHTA HOON

ab koi mujhe god nahin leta bas raat sulaati hai
tanhaiyon mein muje maa bahut yaad aati hai......

3 comments:

  1. Piyush always writes something different....
    I feel his thoughts are very original...
    though I like many of his poems but MA BAHAT YAAD AATI HAI touches me most.
    keep writing...

    ReplyDelete
  2. just awesome guru......

    agar future mein main book publishing ka kaam karta hoon toh yeh poem plz mujhe dena......

    ReplyDelete