Search This Blog

Monday, December 18, 2006

Sharmindagi

gham bikta hai
badi zaldi
bazar mein
barson se
inhein bech kar hi
meri guzar hoti hai

lekin...

ek gham
jo tumne diya tha
yeh kahkar
suchcha sona hai yeh
bazar mein le gaya
to jana
sunahli pani chadha tha us par
peetal bhi nahin tha woh

aaj
bahut sharminda hoon main

ab unhein
main kya moonh dikhaun
jinhein maine yeh dikhakar
kaha tha naaz se
yeh gham JAANAM ka hai
sabse keemti hai

No comments:

Post a Comment