Search This Blog

Sunday, December 17, 2006

ibteda bhi nahin...inteha bhi nahin

Teri jeet ka hai matlab na meri haar ka koi
Ki ibteda nahin yeh ishq ki inteha bhi nahin

Tujhe khone ka darr roz laga rahta hai
Yeh alag hai ki tu mujhko mila hi nahin

Tu khuda hai mera to kabhi aake mil mujhse
Jo mil jaaye to phir tu khuda bhi nahin

Rone aur hansne ka farq nahin hai mujhko
woh dil mein nahin aur dil se gaya bhi nahin

Tune kal phir se mujhko pukaar liya JAANAM
Yeh saza bhi nahin aur main riha bhi nahin

No comments:

Post a Comment