Search This Blog

Friday, December 29, 2006

Nabz

Maine apni kalaiyon par pahane the kabhi haath tere
ab nabz badhti hai waqt si main har nabz ghatTa jata hoon

Tanhai kya hai janta nahin tha jab saath tha tere
Ab log milte jate hain main tanha hota jata hoon

Tu khuda hai mera jaan jayega mujhe jahan bhi hoga
Main bas har simt tujhe sajde karta jata hoon

Saansein meri har pal bhaari hoti jaati hain ab
Tujhse bichhad kar marta kya so bhi nahin pata hoon

Dard hota hai kahin aur main har pal muskurata hoon
Log padh lete hain meri aankhein tujhe chhupa nahin pata hoon

1 comment:

  1. "Maine apni kalaiyon par pahane the kabhi haath tere
    ab nabz badhti hai waqt si main har nabz ghatTa jata hoon"

    absolutely Gulzarish....main fidaa ho jaati hoon....
    hahahahahahahahaa

    ReplyDelete