Search This Blog

Sunday, December 17, 2006

main saansein leta hoon...

main saansein leta hoon
to tera naam padhta hoon.

koi saans atak gayee hai kahin,
tum jo aao
to aa jayegi.


tere saath guzre
dinon ke,palon ke
nishan pad gaye hain badan pe
tum jo chhoo lo
to mit jaayenge.


pichhli kai raaton se soya nahin hoon main
tum,
jo apni khushboo se lipta dupatta bhejo
to,
neend aaye,
so hi jaaun.


teri kitni hi hasratein poori ki maine
aur agar woh maine nahin ki
to aakar jaag tu hi is raat mein


mujhe aazad kar,
sone de.


subah hone ko hai
tu us waqt aayega kya?
mujhe to ummeed nahin.

kahin tujhko bhi aadat to nahin
auron ki tarah
tamashe banane ki, dekhne ki.....
main teri fitrat ko samjha hi nahin hoon
ab tak shayad.


tone hi sikhaya hai mujhe
intezar karna,
thak gayee hain meri aankhein
tera rasta takte takte,
ki ab jo soyengi
to jaagengi nahin kabhi.


shayad tab tu aayega
ya shayad
tab bhi nahin...........

1 comment:

  1. "pichhli kai raaton se soya nahin hoon main
    tum,
    jo apni khushboo se lipta dupatta bhejo
    to,
    neend aaye,
    so hi jaaun."

    iss kavita kii khoobsooratii yahii hai...

    ReplyDelete