Search This Blog

Thursday, May 17, 2007

Intezar

tere intezar mein

khwab jodta hoon
kabhi
khud bikhar jata hoon

aur kabhi
yun bhi hua hai
tumhari hi aarzoo mein
khud ko chhua hai

raat aati hai
mutthi se fisal jati hai
aur chaand bhi
roz badal jata hai

tere intezar mein

6 comments:

  1. ekdam sateek kavitaa likhi hai Guruji!

    shirish

    ReplyDelete
  2. bahut hi achhe expressions hamesha ki tarah...keep writing

    ReplyDelete
  3. bas aise hi udte hue halke lafzon ne to humein baandh rakha hai aapki in kavitaon se ....kitna sach aur itna saral

    ReplyDelete
  4. Mood ko acchha pakda hai - aur kabhi yun bhi hua hai, tumhari hi aarzoo mein khud ko chhua hai.

    Lekin end kuchh halka lag raha hai, slightly cliched ....

    raat aati hai, mutthi se fisal jati hai; aur chaand bhi roz badal jata hai; tere intezar mein.

    1st and 2nd parts bahut acchhe hain. Agar kavita utane tak hi rehti, to?

    ReplyDelete
  5. bahut sundar piyush luft aa gaya is kavita ko padh ke baut khhob

    ReplyDelete
  6. chaan d bhee roj badal jaata hai,,
    Piyush ji --bahut khuub kaha aapne--kavita pasand aayee
    dhnyavaad

    ReplyDelete