Search This Blog

Monday, May 14, 2007

Sindoor

din ka tapta sooraj
jab utarta hai
samandar mein
lahrein kuchh yun lagti hain
ki jaise utar gaya ho namak unka
aur bas sindoor bhara ho unmein
ud raha ho...

apne labon ko
jab rakh kar mere honthon par
guzarti ho mujhse
yun lagta hai
ki jaise jism se
utar gaye hon jism saikdon
bas ek rooh hai
ud rahi hai!

2 comments:

  1. "jaise jism se
    utar gaye hon jism saikdon
    bas ek rooh hai
    ud rahi hai!"

    kya kahoon main...........
    sahi expressions sahi shabdon se perfectly express karna koi tujhse sikhe......great thought...beautiful lines..keep it up

    ReplyDelete
  2. "jaise jism se
    utar gaye hon jism saikdon
    bas ek rooh hai
    ud rahi hai!"

    Jab se padhi hai, mann me ghoomti hai tumhari ye kavita.. kisi apne ke sparsh ki sihran chha jati hai, jitni bhi baar padhoon.. bahot din se likhna chah rahi thi comment par blogger nahi thi.. so I could not write on your profile... This is one of your best poems!

    ReplyDelete