Search This Blog

Thursday, April 26, 2007

Maang aur Aapoorti

aasmaan mein phaile
koode se lekar
ungliyon ke beech ki
jagah tak
sab kuchh bikta hai...

barson baad
hum apne dost se
milne jaate hain
aur chakit ho jaate hain
ghar ki jagah
dukaan paate hain!!

kya sachmuch
itna kuchh hai
bechne ke liye??!!

3 comments:

  1. Sundar Rachana. Unki baaton se hatkar kuchh sunane ko mila. Dhanyawad!

    aasmaan mein phaile koode se lekar
    ungliyon ke beech ki jagah tak
    sab kuchh bikta hai...
    Yahan ungliyon ke beech ki jagah se matlab kahin finger-ring to nahin?

    Waise, bina padhe jab shirshak dekha to laga aap economics pe likh rahe ho - theory of demand and supply. :-)

    Waise yeh aur baat hai ki padhne ke baad bhi yahi laga.

    ReplyDelete
  2. bhai.. jyada samajh me nahi ayee nahi lekin fir bhi.. sab kuchh bike to bhi tum na khareedo, wahi lo jo achha na na ki woh jiski lipsa apke maan me ho.

    ReplyDelete
  3. kya sachmuch
    itna kuchh hai
    bechne ke liye??!!

    bahut kuch likh diya bhaiya aapne in lines mein..

    i m speechless
    but just gr8!!

    ReplyDelete