Search This Blog

Thursday, April 5, 2007

shikaayat

yaad hai
jab bhi dekha karta tha tumhe
nam aankhon mein

main bahki bahki si baatein karta tha
muskurata hua...
yeh soch kar
ki mujhe khush dekh kar
shayad tum bhi khush ho jaao
magar..
tumhe hamesha yeh shikaayat rahi
ki mujhe tumhara koi gham nahin


ab
jab tum nahin ho
aankhon mein aansoo liye
yeh sochta hoon
shayad tum aao phir se
jab tak ki
mere aansoo sookh chuke honge
aur
jab tumhe dekh kar main muskuraaunga
tumhe phir yeh shikaayat hogi
mujhe tumhara koi gham nahin

3 comments:

  1. just perfect expression........zyada kuch kaha nahin ja raha...dil ki gahrayee se nikli hai...pata nahin kahan taq pohunchegi........keep it up..

    ReplyDelete
  2. bahut pyaare expressions ... effortlessly expressed.....keep it up

    ReplyDelete
  3. Acchha Likha hai - Mujhe tumhara koi gham nahin. Ghalib had something similar to say in his famous couplet:- "Unke dekhe se jo aa jati hai munh pe raunak, woh samajhate hain bimaar ka haal acchha hai." I feel with your kind of ability (writing atukant-kavitaayein without loosing sense of music) the whole discourse on erosion of rhythm in hindi poetry seems out of track. Keep writing, beautifully.

    ReplyDelete