Search This Blog

Saturday, April 21, 2007

gumshuda

har subah
dhoop ke bahane
tumhe dekhne ko
main khidki kholta tha
tumse hi ghar mein roshni hoti thi!!
kuchh baras hue
tum dikhti nahin ab
khidki, jo khulti thi
aakaash ki jaanib
ab andar ki taraf bhi nahin khulti
in dinon ghar mein andhera rahta hai!!

Tum poochhti thi aksar
yeh chaand jata kahan hai
jata hai agar
to phir aata kyun hai!!
in dinon magar
Chaand poochhta hai mujhse
tum aayee thi kahan se
aur aayee thi to gayee kahan
gaye ho jab
to aati kyun nahin!!

woh kahani
jo sunaai thi tumne
ki jismein
ek raja ne jo bhi chhua
woh sona ho gaya..
kahani adhoori rah gayee thi!
main yahan baitha
patthar ho gaya hoon
tum aao kabhi
aur chhu lo mujhe
to jaan aa jaayegi mujhmein
kahani adhoori hai ab bhi!!

main kisi keede sa
gumshuda gumnaam hoon ab
tumhari talash mein
Tum aao
aur pukaro naam le kar mujhe
warna keedon ko shahron mein
dhuein se maarte hain...
Koi jaanta bhi nahin!!

5 comments:

  1. I have read somewhere that pain helps creates. But don't like the idea that one has to suffer to write this.
    "main kisi keede sa
    gumshuda gumnaam hoon ab
    tumhari talash mein
    Tum aao
    aur pukaro naam le kar mujhe
    warna keedon ko shahron mein
    dhuein se maarte hain...
    Koi jaanta bhi nahin!!"
    Why do you write like that?
    ----------------------
    I admire your control on words. I am yet to see any instance when a word used in your poem could be replaced with a better word. But The range of your writing seems to be in a restrictive phase, focus being her. What about writing on your confusions, say about your career choices!
    Just a random thought.

    ReplyDelete
  2. Read first line as "I have read somewhere that pain helps create."
    -------------
    I want you to read "Baadal" on my blog, if you haven't already read it.
    http://searchingrythem.blogspot.com/2007/04/baadal.html

    ReplyDelete
  3. bahut acche bhai......keep on writing like this .......


    "Tum poochhti thi aksar
    yeh chaand jata kahan hai
    jata hai agar
    to phir aata kyun hai!!
    in dinon magar
    Chaand poochhta hai mujhse
    tum aayee thi kahan se
    aur aayee thi to gayee kahan
    gaye ho jab
    to aati kyun nahin!!"

    bahut acche ji.......

    ReplyDelete
  4. Beautiful... sach me words nahi hain

    ReplyDelete
  5. warna keedon ko shahron mein
    dhuein se maarte hain...
    Koi jaanta bhi nahin!!

    waise kuchh keede marne ke liye khud hi dhuein me gum ho jate hain (Cigeratte ki baat kar raha hoon bhai)

    achcha likha hi.. keep it up

    Tc 'n' keep :)

    ReplyDelete