Search This Blog

Friday, May 2, 2008

Cigarette :)

rooh hai jo ki sulag rahi hai
jism dhuein mein uda raha hoon

phir ek cigarette jala raha hoon


band hain aankhein jaga hua dil
tumhari hasrat jyun guzra kal
tumhari shaklein bana raha hoon

phir ek cigarette jala raha hoon

nashe si chadhti hai zindagaani
utregi jab bas lagegi paani
sookhe patte uda raha hoon

phir ek cigarette jala raha hoon

6 comments:

  1. अच्छी अभिव्यक्ति है..
    ज़िन्दगी की..सिगरेट से..!!

    हम उसे जलाते है..वो हमे.!!
    और एक दिन दोनों राख हों जाते है.!

    देखो कब तक जलती हैं, दोनों.~

    ReplyDelete
  2. rooh hai jo ki sulag rahi hai
    jism dhuein mein uda raha hoon

    phir ek cigarette jala raha hoon


    bahut khoobsoorat kavita..

    yu jalte sulagte ham jeete rahe..
    dhua hote hote dhue ko peete rahe

    hamare kehne se zyada farq nahi padega..
    fir bhi..

    likhte rahe

    ReplyDelete
  3. apni ek aur tippani dekar
    tippaniyo ki sankhya badha raha hu

    fir ek cigarette jala raha hu...

    bahut achhe piyush bhai..

    ReplyDelete
  4. Main kyaa sir jee aap to kisi bhi cheez par kavitaa kar dete hain! Kyaa top class chamak chamak kavitaa hai :D
    Magar-

    Statutory warning: cigarette is injurious to health :P

    ReplyDelete
  5. ek khoobsurat khayal ,dhuney me udta pada humne...bahut acchi abhivyakti hai

    ReplyDelete