Search This Blog

Monday, May 12, 2008

Alfaaz

har subah
tumhaari sureeli aawaaz se jagna..
aur saare din
ek ek lafz ko
kaanon mein yun chhupa ke rakhna
ke jaise aathwan sur ho koi...

aur narm narm
halke se
kuchh lafz woh hain
jo utar jaate hain dil mein
gudgudi sa karte hue saare din..
aur honthon pe mere
muskuraate rahte hain


aur bheega bheega
chhalka sa
ek lafz woh bhi
jo chhu jaaye dard jab
aankhon mein utar aata hai
lab nahin hilte magar
aankhon se ada ho jata hai...

tumhaari aawaaz ke
rang hain kitne...
saare din
mujhe kitne hi rangon mein
rang jaate hain
ek utarta nahin
aur kitne hi rangne ko
chupke se chale aate hain!!

14 comments:

  1. Classic Piyush....sahaj saral shabdo me anubhutiyon ki tasveer. Jo sirf mehsoos kiya karte hain, un ahsaason ko aap bakhubi lafzo me dhaal dete hain aur yahi aapka strong point hai

    Bahut sundar

    ReplyDelete
  2. बहुत अच्छे पीयूष.. सुंदर रचना.. सहज़ शब्दो में गहन भाव.. बढ़िया

    ReplyDelete
  3. lekin ye bata kahan milegi aisi ladki .. poems mein hi milti hai bas :D

    ReplyDelete
  4. amit ki tarah main bhi utshuk hu yeh janane k liye aisi larki milegi kaha :)

    ReplyDelete
  5. hmmmm..

    acchi hai..

    din ki tulna..apne aap se...!!

    simplicity is best wid u.

    keep it up..!!


    ram ram

    ReplyDelete
  6. bahut sundar, bahut hi achha khayal... aur bahut sundar prastuti...mazaa aa gaya

    ReplyDelete
  7. aapki style hi niraali hai fir bhi..bahut 'Gulzaarish' hai..

    ek ek lafz ko
    kaanon mein yun chhupa ke rakhna
    ke jaise aathwan sur ho koi...

    amazing...yeh shayad aap hi soch sakte hai...bahut khoobsoorat...

    likhte rahe..

    ReplyDelete
  8. गुलज़ार साहब के गाने " एक ही ख्वाब कई बार देखा है मैने" की झलक पाई इस कविता मे ....बहुत खूब....Vintage Piyush

    ReplyDelete
  9. ek ek lafz ko
    kaanon mein yun chhupa ke rakhna

    Sundar hai Piyush... bahot din baad ..tumhare waali baat dikhi mujhe tumhari poem me... keep writing.

    ReplyDelete
  10. Bahut hi seedhi, saral aur chhoo jaane waali kavita. Good one, piyush.

    ReplyDelete
  11. excellent piyush......

    bahot acchhe shabd
    khubsoorat bhaav

    aankho se ada ho jati hai...

    vry nice .....

    ReplyDelete
  12. As usuall Brilliant lines..Piyush bhai. dil ko choo gaya..maza aa gaya:)

    Jiyo..!

    ReplyDelete