har baar....kuchh naya likhta hoon yahan...aur darta hoon ki log kya kahenge...is se bhi zyada darr is baat ka lagta hai ki kya hoga agar logon ne kuchh na kaha to!!
Search This Blog
Sunday, August 5, 2007
Dard
baarish hoti hai to der tak patte boond boond riste rahte hain
dard chhupana asaan nahin hota
barson mein magar darakhton ne aasman ko chhua hai ki isi baarish ne jaDon ko jene ki wajah di hai...
Hmmm... pehle bhi padhi hai ye kavita tumhari... ab phir se padhi...
ReplyDeleteDard se bhi pehchaan milti hai...
Ye pankti to bahot hi acchi hai..! Amazing!
Ye aapki sabse sundar kavitaon me se ek hai...bahut hi gahan anubhuti ki baat
ReplyDeletebarson mein magar
ReplyDeletedarakhton ne
aasman ko chhua hai
ki isi baarish ne usko
jaDon se
judne ki wajah di hai...
bahut khoobsurat hai Piyush...bas ek do shabd haer fer kiye hai maine upar:),kaisa hai....
Thanks Di!!
ReplyDeleteaapne poem ko aur bhi khoobsoorat bana diya
:)