Search This Blog

Saturday, March 3, 2007

Phir Milenge

Aaj Pahli baar Afroz aur Nidhi se mila....un lamhon ke liye-


Lamhe -
Jinhe socha to tha
magar dekha nahin tha...
Aaj unse Guzar gaya main

Tumse milkar
Bahut kuchh tha kahna
Mila to laga
Pahle hi...
Sab kuchh
Kah chuka hoon main

Waqt kuch yun guzra
ki bas yahi kah saka-
PHIR MILENGE



2 comments:

  1. yaar kya comment karoon....bahut jealousy ho rahi hai abhi...

    ReplyDelete
  2. Lamhe -
    Jinhe socha to tha
    magar dekha nahin tha...
    Aaj unse Guzar gaya main


    Mujhe kahan tak chhooti hain ye panktiyan... na kisi ko bata sakti hoon na samjha sakti hoon ... bas itna keh sakti hoon ...ki shukriya inhe likhne ke liye Piyush.

    ReplyDelete