Search This Blog

Thursday, February 22, 2007

Nishan

chalte-chalte...
main us mod par aa gaya
jahan naye shahar ki
sarhad shuru hoti thi

Palat kar dekha..
badi ummeed se-
aakhiri baar!
Tumhe na aana tha...
na tum aaye.

Roz ki tarah
chaand ka tukda
nigal liya
aankhon se..
aur
phir chal diya

Aaj
Saikdon saalon ki
tanhai ke baad
apni khidki par khada
yeh sochta hoon-

Zindagi ab tak nahin aayee
Maine kadmon ke nishan to chhode the!

3 comments:

  1. Piyush hamesha mujhe bolte ho kuch positive likha kar per khud hamesha kuch aisa hi likhte jo rula deta hai... aaj isne bhi rula diya... sorry comment nahi hai mere pass

    ReplyDelete
  2. "Nishan"..dil mai nishaan kar gayi..!!
    Khubsurat...!!
    esa padhane ke baad dil karta hai..puchu...kis jgaha ye likha kis kalam se ye likha....!!
    KHUBSURAT.!!

    ReplyDelete