Mujhko kabhi yun ek mauka to do
Chalte -chalte thak jao tum kabhi
Utha loon main tumhe god mein...
...Bas tum Jaano yeh ek bahana ho
Mujhko kabhi yun ek mauka to do..
Kho jaao tum kahin jab bheed mein
dhoondhun main tumhe raste raste...
...Chhupi tum kahin muskati raho
Mujhko kabhi yun ek mauka to do..
Gir jaaye koi lat jab aankhon pe
Main haathon se use theek karoon...
...Tum chupke se use girati raho
Mujhko kabhi yun ek mauka to do..
Rooth ke baithi ho tum mujhse
main manaun tumhe ek bose se...
...Tum jaan ke galtiyan karti raho
Mujhko kabhi yun ek mauka to do..
Intezar karo tum roz shaam mera
main chupke se daraun tumhe...
...Tum nam aankhon se muskati raho
Mujhko kabhi yun ek mauka to do..
Aaogi tum wapas yeh sochke main
roz ek khwahish banata rahoon...
...Tum aane ki ummeed jagati raho
Mujhko kabhi yun ek mauka to do..
koi bhi jab yeh kavita padhega use saari tasveerein saaf saaf dikhayi degi...yeh kavita hai ya painting samajh mein nahin ata..keep it up Piyush...You are really very talented.
ReplyDeleteHello Piyush!
ReplyDeleteIts Avinash from Jagjitji yahoo!group.
kafi dinon se tumhari koi kavita/ gazal nahi padhi thi. Aur jab padhi to LIFE ban gayi. Really ye kavita mujhe bahut pasand aayi.
Iski maine pele hi bhut tarif kar di hai...
ReplyDeletefir se keh deta hu...Ismai gulzar ki kushbu hai...!!
aur sabse khubsurat ye ada hai kehne ki..."Mujhko kabhi yun ek mauka to do.."
yanha "yun" par jo rukna hai...wow..
behtrin..!!
shabd apna maanii nahiin khote
ReplyDeleteaur chup-chaap baiThe rahte hain,
jahaan tum biTha dete ho...