Search This Blog

Wednesday, January 3, 2007

Sahra

Woh jo sahra hai aaj
Kabhi wahan ek shahar hua karta tha!

Ek shahar
Jahan do saye
Ghoomte the haathon mein haath liye
Woh shahar
Jiski har deewar par
Tera naam likha hota tha
Shahar-
Jiski fiza mahakti thi
Teri zulfon ki khushboo se
Har baashinde ke chehre mein
Tera chehra chhipa hota tha
Us shahar mein

Woh shahar jahan ab ek sahra hai!

Ab bhi jab kisi mahfil mein
Mil jate ho tum achanak
Aur
Tumhari aankhein chhu jati hain mujhe
Meri saansein mahak uthti hain
Tere pairahan ki khushboo se
Anjane hi jab main
Chhoo leta hoon tumhe
Ek shahar achanak hi jaag uthta hai

Woh shahar jahan ab ek sahra hai!

Aaj-
Tujhse nisbat ka
Woh ek dhaaga bhi toot raha hai-
Main us mod par khada hoon
Jahan yeh sahra aur shahar milte hain

Ek khushboo
Ek lams
Ek naam
Aur
Ek shahar
Mujhe vidaa karne aaye hain

Woh shahar jahan ab ek sahra hai

2 comments:

  1. hey dear its awesome... simply beautiful... sorry I cant express in words

    ReplyDelete
  2. Khubsurat...

    Woh jo sahra hai aaj
    Kabhi wahan ek shahar hua karta tha!
    ......
    kya baat keh di..!!
    .....
    .....
    "han tum the,wo tha,wo bhi thi...
    bas wo hi nahi ,jiki kwahish rahi"

    ReplyDelete