Search This Blog

Tuesday, October 2, 2007

Aksar

Aksar
ghar ke saamne
is baageeche mein
Lamp post ke neeche
bench par main baith jaata hoon..
apni dhadkanein
mahsoos karta hoon
aur apni
Saanson se saanson tak ki doori
zindagi si lagti hai
aur maut si kabhi....

Sochta hoon...
kabhi is bench par
tum bhi ho saath mere
halka halka halka
ujala ho...
aur
halka halka halka
Andhera...
Maaloom na pade
subah ki roshni hai
ya shaam ka dhundhalka koi....
aur main
hairaan hairaan hairaan sa
mahsoos karta rahoon
bas zindagi....
tumhari saanson se
meri saanson tak!!

4 comments:

  1. it's one of the most romantic creations by you...keep writing..

    ReplyDelete
  2. Hmm.... halka halka halka... hairan hairan hairan ... prayog pasand aaya...
    .. romantic hai...
    ...par ab tumhari itni kavitayein padh chuki hoon... ki koi bhi nai kavita ko padhte huye lagta hai : Have you excelled from previous one in this or not... ?
    Abhishek Bachhan ko Amitabh ka beta hone ka nuksaan... wohi baat hai...

    Boss kuch aur zabardast likh sakte ho... ye to aap likh hi sakte ho.. ye main janti hoon...!

    ReplyDelete
  3. Hi Piyush... you know you are one of the best in writing romantic poems... too good. I wish I could express my love in such simple words... great going yaar. God bless you

    ReplyDelete
  4. aur main
    hairaan hairaan hairaan sa
    mahsoos karta rahoon
    bas zindagi....
    tumhari saanson se
    meri saanson tak!!

    bahut sunder bhaav.......tumhari chhayavaadi shaili ki adhbhut rachna

    ReplyDelete