Meri....
Aksar logon ko kahte suna hai duniya bahut chhoti ho gayee hai,magar kisi ne tumhare aur mere dil mein jhaank ke dekha hota to jaanta,duniya ab bhi utni hi badi hai ya shayad pahle se bhi badi.
kabhi kabhi mujhe apne kamre ki ghadi ke is pendulum se bhi rashq hone lagta hai.yeh har pal idhar se udhar to ja sakta hai....
Pyaas us hadd tak pahunch gayee hai jahan se door ki ret paani dikhti hai.Door rah kar bhi agar tum yun mere mann ko thandak pahunchaate ho to main zindagi bhar pyaasi rahoon.ek khat mein yun likha tha tumne.aur agle hi khat mein tumne apne aane ki taareekh kuchh yeh kahte hue batai thi-Doston ka bulawa thukra sakte hain,dushmanon ka nahin!!
Kal Gulzar saab ki ek nazm padhi-tumhaare saath pooraa ek din, bas kharch karne ki
tamannaa hai!! Aur yun lagta hai ki tumhare aane ka din meri jeb mein aane ki khushi se zyada darr ab mujhe uske kharch ho jaane ka hai....
tumhara...
koi mamoli soch to tere likhe mein hota hi nahin...is liye pura khat extraordinary hai...ek simple lifafe mein koi special chithhi ho jaise....
ReplyDeletechalo ik baar fir kahein ki tumne 20 din ek safhe mein gunjeT diye,
ReplyDeleteab inhein raddii kii Tokari main mat feink dena...
Bahut hi sundar likha hai. Kuchh inspiring bhi hai, apne fiction waale blog mein ise padhke maine aisa hi kuchh likha hai. Thanks.
ReplyDeleteHere is the link to the blog Mera khat Unke Naam
ReplyDeletehttp://fictioninlife.blogspot.com/2007/09/ek-khat-unke-naam.html
Bahut umda....ye khat padhkar bhi agar woh na aayein to kehna hoga ki wo patthar-dil hain. Aapki koshish mein koi kami nahi.
ReplyDelete