Jhoothi muskaan liye
jab log apne khwab
is ummeed se de jaate hain
ki main unhein poora karne mein
madad karoon unki
yun lagta hai
Main sabka hoon
aur koi mera nahin...
kabhi yun bhi lagta hai
ki Sab mere hain
aur main kisi ka nahin
jab main ummeed liye jata hoon sabke paas
aur mujhe
apne khwab saabit karne padte hain
poem padhte padhte lag raha tha ke WOW kya likha hai....but...last line mujhe utni touchy nahin lagi..zyada effective kuch expect kiya tha
ReplyDelete.
ReplyDelete.
tum dargahon ki,
roshan khidkiyon se ho
tumhari phulkariyon mein
baandh jaate hain
sab mannat ke dhaage
tum apni muradoN ko
khud mein hi lipta lo
khuda jab gaur farmaye
rasaaii kaam aa jaye
!