Search This Blog

Tuesday, October 16, 2007

Furqat

Waqt haathon mein mere sambhalta bhi nahin
teri furqat mein jo guzarta hai...guzarta bhi nahin

Mushkil hai bahut woh lamha bayaan karna
Toot.ta hai jo teri aas mein...marta bhi nahin

Ajab sa jaadoo hai khyaalon mein tumhaare
Dil jis se chhalakta hai aur bharta bhi nahin

Saanson ki tarah tu shaamil hai mujhmein
rahta bhi hai saath aur thaharta bhi nahin

Tuesday, October 2, 2007

Aksar

Aksar
ghar ke saamne
is baageeche mein
Lamp post ke neeche
bench par main baith jaata hoon..
apni dhadkanein
mahsoos karta hoon
aur apni
Saanson se saanson tak ki doori
zindagi si lagti hai
aur maut si kabhi....

Sochta hoon...
kabhi is bench par
tum bhi ho saath mere
halka halka halka
ujala ho...
aur
halka halka halka
Andhera...
Maaloom na pade
subah ki roshni hai
ya shaam ka dhundhalka koi....
aur main
hairaan hairaan hairaan sa
mahsoos karta rahoon
bas zindagi....
tumhari saanson se
meri saanson tak!!