har baar....kuchh naya likhta hoon yahan...aur darta hoon ki log kya kahenge...is se bhi zyada darr is baat ka lagta hai ki kya hoga agar logon ne kuchh na kaha to!!
Search This Blog
Thursday, May 17, 2007
Intezar
tere intezar mein
khwab jodta hoon kabhi khud bikhar jata hoon
aur kabhi yun bhi hua hai tumhari hi aarzoo mein khud ko chhua hai
raat aati hai mutthi se fisal jati hai aur chaand bhi roz badal jata hai
ekdam sateek kavitaa likhi hai Guruji!
ReplyDeleteshirish
bahut hi achhe expressions hamesha ki tarah...keep writing
ReplyDeletebas aise hi udte hue halke lafzon ne to humein baandh rakha hai aapki in kavitaon se ....kitna sach aur itna saral
ReplyDeleteMood ko acchha pakda hai - aur kabhi yun bhi hua hai, tumhari hi aarzoo mein khud ko chhua hai.
ReplyDeleteLekin end kuchh halka lag raha hai, slightly cliched ....
raat aati hai, mutthi se fisal jati hai; aur chaand bhi roz badal jata hai; tere intezar mein.
1st and 2nd parts bahut acchhe hain. Agar kavita utane tak hi rehti, to?
bahut sundar piyush luft aa gaya is kavita ko padh ke baut khhob
ReplyDeletechaan d bhee roj badal jaata hai,,
ReplyDeletePiyush ji --bahut khuub kaha aapne--kavita pasand aayee
dhnyavaad