Search This Blog

Friday, February 29, 2008

Dard

Andheri raat
guzar bhi jaayee...
kuchh bondein..
rah jaati hain patton par...
patte
sisak rahe hon jaise...

dard apni nami chhod jata hai...

waqt badalte magar
der nahin lagti..
zara si dhoop lagte hi
patte chamak utnte hain..
thande pade rishte ko
garmi mili ho jaise..

dard ki haisiyat kya hai!!

9 comments:

  1. Dard ki haisiyat kya hai...
    Bahut khoob, Achha thought, aur achha prsentation...

    ReplyDelete
  2. pata nahin kyun is baar maine last line pahle padhi....aur last line hi sabse achhi lagi....

    ReplyDelete
  3. janaab muddat ke baad laute, kahaan the ab tak aap?

    ReplyDelete
  4. Piyush

    aapki kavita mein sabse sundar jo baat hai, woh hai ehsaas. Bahut kam shabdo mein, bahut sateek prateekon ke prayog se ek naya drishtikon deti huyi kavita...is kavita ke liye meri badhai sweekar karein.

    ReplyDelete
  5. Nice inspiring poem Piyush....
    Last line bilkul O'Henry ki stories ke end jaisi hai :-)

    ReplyDelete
  6. accha perspective hai Piyush... par dard ki haisiyat itni kam bhi nahi yaar... ha ha ha... jab ho raha hota hai, to khushi yaad nahi aane deta ... aur jab chala jata hai... to khushi ka taraazoo ban jata hai...

    ReplyDelete
  7. khoob, piyush! Is kavita mein ek umang ka ehssas hai,jo sarahneeya hai! waqt ke saamne kisi ki bhi haisiyat kya hai? lekin shilpa ka comment bhi khoob waajib hai!:)

    ReplyDelete
  8. ishke jawab me to hum yahi keh sakte hai

    dard me bhi kuchh baat hai :)
    tu feel the joy you have to taste the pain.

    lekin fir bhi bahut achha laga mujhe yeh
    dard ki haisiyat kya hai... :)

    *claps*

    ReplyDelete
  9. hmm..

    patton ka sisakna sunai deta hai..

    dur jab badal garazte hai.

    aur wo havayen chu kar nikal jati hai...

    tab sunai deta hai..patton ka sisakna...!!

    ReplyDelete