Search This Blog

Thursday, September 20, 2007

Khamoshi

baatein karte hue aksar
tum chup ho jaati ho
aur mujh tak
bas tumhari aati jaati saanson ki
aawaaz aati hai-
Ni-Re-Ga,Ni-Re-Sa
Raag yaman ke
aaroh-awaroh ki tarah

Tumhari khamoshi bhi kitni sureeli hai

Ek khat-Tumhare naam

Meri....
Aksar logon ko kahte suna hai duniya bahut chhoti ho gayee hai,magar kisi ne tumhare aur mere dil mein jhaank ke dekha hota to jaanta,duniya ab bhi utni hi badi hai ya shayad pahle se bhi badi.

kabhi kabhi mujhe apne kamre ki ghadi ke is pendulum se bhi rashq hone lagta hai.yeh har pal idhar se udhar to ja sakta hai....

Pyaas us hadd tak pahunch gayee hai jahan se door ki ret paani dikhti hai.Door rah kar bhi agar tum yun mere mann ko thandak pahunchaate ho to main zindagi bhar pyaasi rahoon.ek khat mein yun likha tha tumne.aur agle hi khat mein tumne apne aane ki taareekh kuchh yeh kahte hue batai thi-Doston ka bulawa thukra sakte hain,dushmanon ka nahin!!

Kal Gulzar saab ki ek nazm padhi-tumhaare saath pooraa ek din, bas kharch karne ki
tamannaa hai!! Aur yun lagta hai ki tumhare aane ka din meri jeb mein aane ki khushi se zyada darr ab mujhe uske kharch ho jaane ka hai....

tumhara...

Monday, September 3, 2007

Laawaris

Jhoothi muskaan liye
jab log apne khwab
is ummeed se de jaate hain
ki main unhein poora karne mein
madad karoon unki
yun lagta hai
Main sabka hoon
aur koi mera nahin...

kabhi yun bhi lagta hai
ki Sab mere hain
aur main kisi ka nahin
jab main ummeed liye jata hoon sabke paas
aur mujhe
apne khwab saabit karne padte hain

Sunday, September 2, 2007

tum jaisa

raat bahut der rooh jalai thi
subah dekha to
ek nazm padi thi baanhon mein
chehra uska kuchh tum jaisa tha
aur aawaz uski kuchh mujhse milti thi

raat bahut der rooh jalai thi
tujhse khwab mein lipat kar maine